Shankar Mahadevan - Kaare Kaare Badra lyrics | LyricsFreak
Correct  |  Mail  |  Print  |  Vote

Kaare Kaare Badra Lyrics

Shankar Mahadevan – Kaare Kaare Badra Lyrics

Badra badra.. Sargam...

Jaise ghir ke aaye angana mein
hamaare badra kaare kaare badra
Jaise ghir ke aaye angana mein
hamaare badra kaare kaare badra

Boond jo gire tann pe teer lage mann pe koi
aankhein male sapne jaag uthey kaam na soyi
Oh thar tharake palkon pe chaaye saare badra kaare kaare badra
Jaise ghir ke aaye angana mein
hamaare badra kaare kaare badra

Halki halki fuwarrein hole hole sawarre
Saathi hai jo dishayein saari aakanshyein
Jitne bhi drish dhule hain utane rang ghule hain
Bhigi hawa mein bhig koi sugandh hai somoyi
Boonde milake barsa rahey hai saare badra kaare kaare badra
Jaise ghir ke aaye angana mein
hamaare badra kaare kaare badra

Naina darpan bane hain jin mein jhalke aashayein
Sansein madham huyi hai dhimi dhimi si aaye
Rutt gaaye gaake bataye jo chahe mann wahi paaye
Mil jayegi fir tujhe ek bhawana jo hai khoyi
Chahton ke hai leke aaye badara kaare kaare badra
o Jaise ghir ke aaye angana mein
hamaare badra kaare kaare badra

Boond jo gire tann pe teer lage mann pe koyi
aankhein male sapne jaag uthey kaam na soyi
Jaise ghir ke aaye angana mein
hamaare badra kaare kaare badra

Jaise ghir ke aaye angana mein
hamaare badra kaare kaare badra
Share lyrics
×

Kaare Kaare Badra comments