Tanuj Pawar - Ghar Aa (Ye Chithhi Mujhko) - A Letter To Soldier lyrics | LyricsFreak
Correct  |  Mail  |  Print  |  Vote

Ghar Aa (Ye Chithhi Mujhko) - A Letter To Soldier Lyrics

Tanuj Pawar – Ghar Aa (Ye Chithhi Mujhko) - A Letter To Soldier Lyrics

Ye Chithhi Mujhko Batlati Hai,
Haal Tera Mujhko Batlati Hai.

Ye Chithhi Mujhko Batlati Hai,
Haal Tera Mujhko Batlati Hai.
Tere Aankhon Ke Aanshoo Ki
Boondein Mujhe Ghar Wapas Bulati Hai Maa...
Ghar Aa, Ghar Aa, Ghar Aa, Ghar Aa, Ghar Aa...

Bhaiya Ke Sagai ki,
Behena Ki Bidai Ki,
Ya Koi Badhai Ki,
Khabar Sunati Hai.

Bhaiya Ke Sagai ki,
Behena Ki Bidai Ki,
Ya Koi Badhai Ki,
Khabar Sunati Hai.
Kitna Bhi Chahe Tarse
Aankhon Ke Aanshoo Ko,
Kitna Bhi Chahe Tarse
Aankhon Ke Aanshoo Ko,
Rok Nahi Pati Hai Maa...
Ghar Aa, Ghar Aa, Ghar Aa, Ghar Aa, Ghar Aa...

Chhod Ke Ghar Sarhad Pe Aaya,
Maa Ke Aanshoo Ko Pochh Na Paya,
Barf Aur Barish Ki Boondon Mein,
Apne Farz Ko Khoob Nibhaya.
Tez Tufaano Ki
Is Basti Mein,
Tez Tufaano Ki
Is Basti Mein,
Sar Na Jhookaunga Maa...

Kisi Roz Nahi Lauta Agar Main,
Aanshoo Ye Apne Thaam Lena,
Yaad Meri Jab Aaye Toh Maa,
Wardi Seene Se Laga Lena,
Khoon Ki Boondein Meri
Is Dharti Ka,
Khoon Ki Boondein Meri
Is Dharti Ka,
Karz Chukayegi Maa...
Ghar Aa, Ghar Aa, Ghar Aa, Ghar Aa, Ghar Aa...

Ye Chithhi Mujhko Batlati Hai,
Haal Tera Mujhko Batlati Hai.
Share lyrics
×

Ghar Aa (Ye Chithhi Mujhko) - A Letter To Soldier comments