Sajjad Ali - Koi Nahee lyrics | LyricsFreak
Correct  |  Mail  |  Print  |  Vote

Koi Nahee Lyrics

Sajjad Ali – Koi Nahee Lyrics

Ik gham ke siwa is duniya main
Ab aur hamara koi naheen
Tab dil ke saharay thay kiya kiya
Ab dil ka sahara koi naheen
Ik gham ke siwa is duniya main

Is dil ki kashti maujon main
Doobay gi phir doobay gi
Nadiya hai kinara koi naheen
Toofan hai sahara koi naheen
Ik gham ke siwa is duniya main

Raat andheri gham ke sayay
Kalay badal tez hawa
Aik andhera chaya hai
Aur chaand sitara koi naheen
Ik gham ke siwa is duniya main

Dil raakh howa barbaad howay
Aur aag lagi deewaron main
Is ghar main akailay baithay hain
Aur saath tumhara koi naheen
Ik gham ke siwa is duniya main
Ab aur hamara koi naheen
Tab dil ke saharay thay kiya kiya
Ab dil ka sahara koi naheen
Ik gham ke siwa is duniya main

Ik gham ke siwa is duniya main
Share lyrics
×

Koi Nahee comments