Lucky Ali - Kabhi Aisa Lagta Hai lyrics | LyricsFreak
Correct  |  Mail  |  Print  |  Vote

Kabhi Aisa Lagta Hai Lyrics

Lucky Ali – Kabhi Aisa Lagta Hai Lyrics

Kabhi aisa lagta hai, dil mein ik raaz hai
Jise kehna chahoon, par main keh paaoo na
Aankhon hi aankhon mein keh jaati hai jo ye
Khamoshiyon ki ye kaisi zuba
Maine suna jo na usne kaha
Kya aisa hi hota hai pyar
Mere khuda mujhe itna bata
Kya aisa hi hota hai pyar.

Kabhi aisa lagta hai, anjaani pyaas hai
Par simti hoton mein vo reh paaye na
Kaisa ehsaas hai, koi to paas hai
Ye dooriyan hain phir kaisi yahan
Mehki lage ye saari fiza
Kya aisa hi hota hai pyar
Mere khuda mujhe itna bata
Kya aisa hi hota hai pyar

Ye sach hai chahat pe kabhi kisi ka bhi zor nahin
Dilbar ki yaadon ko bandhe aisi koi dor nahin
Sab kuch vohi par lagta naya
Kya aisa hi hota hai pyar
Mere khuda mujhe itna bata
Kya aisa bhi hota hai pyar

Kabhi aisa lagta hai, dil mein ik raaz hai
Jise kehna chahoon par main keh paaoo na
Aanhon hi aankhon mein keh jaati hai jo ye
Khamoshiyon ki ye kaisi zuba
Maine suna jo na usne kaha
Kya aisa hi hota hai pyar
Mere khuda mujhe itna bata
Kya aisa bhi hota hai pyar
Ik pal jo mil jaaye phir vo chala jaaye door kahin
Duniya mein is dil ke jaisa koi majboor nahin
Maine suna pyar karta jahan
Kya aisa hi hota hai pyar
Mere khuda mujhe itna bata
Kya aisa bhi hota hai pyar
Share lyrics
×

Kabhi Aisa Lagta Hai comments