NeedleworK - Zinda Lash lyrics | LyricsFreak
Correct  |  Mail  |  Print  |  Vote

Zinda Lash Lyrics

NeedleworK – Zinda Lash Lyrics

Teray is sayay talay
Kuchla ja raha hoon
Is ghutan ki zindagi main
Phir bhi main ji raha hoon

In lamhon main maut hai
Aur inhi main jal raha hoon
Na asmaan na hai zameen
Dairay main dhal gaya hoon

Yahan pe hain faaslay
Sar karna namumkin hai
Chal sakta nahi aagey
Lekin chalna hoga mujhe

Saath meray kuch bhi nahi
Aik zinda lash hoon main yaheen
Bechaini main tarapta hoon
Aakhri yeh saansein meri

Baybasi mujh main hai basi
Mere dil main hai aik kami
Tu kahan sab kahan
Aakhri yeh saansein meri

Kuchla raha, jiya, jala
Daba, mita, main sada
Zinda hoon main is aas main
Baitha hoon main teri talaash main
Veham mera wajood tera
Kuch nahi kaheen mera
Umeedon ke sayay talay
Kab tak rahoon ga main is tarhaan

Kuchla
Jala
Mita
Main..
Share lyrics
×

Zinda Lash comments