Lata Mangeshkar - Dhuan Banake Fiza Mein lyrics | LyricsFreak
Correct  |  Mail  |  Print  |  Vote

Dhuan Banake Fiza Mein Lyrics

Lata Mangeshkar – Dhuan Banake Fiza Mein Lyrics

Dhuan banake fiza mein uda diya mujhko (2)
Main jal raha tha kisi ne bujha diya mujhko
Dhuan banake fiza mein uda diya mujhko

Khada hoon aaj bhi roti ke chaar harq liye (3)
Sawal yeh hai kitaabon ne kya diya mujhko
Dhuan banake fiza mein uda diya mujhko

Safed sang ki chaadar lapet kar mujh par (2)
Fasil-e-shaher se kisne saja diya mujhko
Dhuan banake fiza mein uda diya mujhko

Main ek zarra bulandi ko chhoone nikla tha (3)
Hawa ne tham ke zameen par gira diya mujhko
Dhuan banake fiza mein uda diya mujhko
Main jal raha tha kisi ne bujha diya mujhko
Dhuan banake fiza mein uda diya mujhko
Share lyrics
×

Dhuan Banake Fiza Mein comments