Abhijeet - Main Rahoon Na Rahoon lyrics | LyricsFreak
Correct  |  Mail  |  Print  |  Vote

Main Rahoon Na Rahoon Lyrics

Abhijeet – Main Rahoon Na Rahoon Lyrics

Main rahoon na rahoon meri aawaaz
Main rahoon na rahoon meri aawaaz
Tum gunjati har jagah har kadam paaogi
Main milu na milu mere geeton ko tum
Zindagi ki tarah har kadam paaoge

Main tha jahaan hoon main waheen
Beeta huan kal main nahi
Main tha jahaan hoon main waheen
Beeta huan kal main nahi
Har mod pe har raah mein har dard mein
Har aaha mein
Gungunaunga main muskuraaunga main
Dil ki aabo hawa mein yaad aaunga main
Yaad aaunga main
Kuchh kahu na kahu mere geeton ko tum
Roshani ki tarah har taraf paaoge

Main aaj hoon main kal bhi hoon
Sadiyaan hoon main main pal bhi hoon
Main aaj hoon main kal bhi hoon
Sadiyaan hoon main main pal bhi hoon
Har rang mein har roop mein
Har chaanv mein har roop mein
Jhilmilaaunga main jagmagaaunga main
Mausamon ki adaa mein yaad aaunga main
Yaad aaunga main
Main dikhu naa dikhu
Mere andaaz tum waqt hi ki tarah
Har taraf paaoge
Main rahoon na rahoon meri aawaaz tum
Gunjati har jagah har kadam paaoge
Share lyrics
×

Main Rahoon Na Rahoon comments